top of page

Sher-o-Shairee from Farhad's diary (Archives: Written in Teens)

Writer's picture: Farhad MerchantFarhad Merchant

Teri zindagi se ruswa hokar chala hoo main,
Aandhi toofan se takra jaoo, who balaa hoo main.

Tujh par hai dil nyauchhavar o meherbaan,
Teri khaatir kar doo yeh zindagi kurbaan.

Jab teri gali se guzra, toh hosh mein toh tha,
Par jab tujhko dekha maine toh madhosh ho gaya.

Dhoond liya saara zamaana, koi tumsa na mila,
Ban gaya yeh afsaana, no koi shikwa, na gila.

Dhaar na hoti toh kat-ta kyon,
Dildaar hoti toh bhatakta kyon.

Aankhen taras gayee, chehraa uttar gaya,
Tujhe dekhe zaalim, zamaana guzar gaya.

Abhi kya hona hai bhala,
Ho gayee sham, tal gayee bala.

Abhi peene ka kuchh aur hi hai mazaa,
Kya pata ke kab ho jaaye kazaa.

Chehre par hai muskaan, labo par hasee,
Chal issi baat par mujhe pilaade lassi.

Bhulaaye na bhulaa saktha, teri adaayein, tera andaaz,
Ishq ki who manzil par pahunch chukka hoon main.

Karvate badalta hoo main saari raat,
Neend hi nahi aati hai,
Kehni hai jo tumse dil ki baat,
Adhoori kahani reh jaati hai.

Dekh liya tera yeh jalwa,
Chal ab toh khilaade halwa.

Zinda hoon, magar zaindagi kya hai, nahi maaloom hai mujhe,
Aye maut, aaj pehchaan na paaoonga main tujhe.

Jaane kiss ki yaad mein, yeh dil dhadakta hai,
Hai kisska dil mein pyaar ke, toofan machalta hai.

Yeh naadaan hai, nasamajh hai, isse samjhaana mushkil,
Yeh pyaar mein paagal hai, de baithha apna dil.

Dhoondte huey manzil, yeh kahaa aa pahunche hum,
Kho jaane ka nahi, tumhe khone ka hai gum.

Teri zubaan hai teer ya kataar,
Jiss par chal jaaye, uska jeena bekaar.

Glass mein daalo whiskey, chaahe glass mein daalo rum,
Peene ka hai mazaa yaaro, chahe khushi ho ya gum.

Yaar ki yaari khoob nibhaayi
Shahad ke naam par zeher pilaayi.

Shukar karo uss insaan ka jissne mazhab sikhaaya,
Duniya mein kiss kaam ka, agar thapad na khaaya.

Iss shairee ko kehte huey aati hai sharm,
Aawaaz dheemi, sur hota hai narm,
Kya kahoo yaar, tu hai ghadda-besharm.

Na karooga main shaadi, na pahnooga main khaadi,
Na main banooga dada, aur na meri biwi dadi.

0 views0 comments

Recent Posts

See All

Comments


bottom of page