Pyar mein, sachayee mein.
Dil ki gehrayee mein.
Agar mai behekta hoo.
Socho woh hai kyu.
Shyam ke sawere mein.
Sukh ki parchhayee mein.
Agar mai sambhalta hoo.
Samjho woh hai kyu.
Mera dil bhi dhadakta hai.
Ishq tumse hi karta hai.
Mai mohabbat mein machalta hoo.
Poochho woh hai kyu.
Ye nagme, ye aahate, badey ajeeb hotey hai.
Mushkil se muskarahate naseeb hotey hai.
Mai yoo hi mann behlata hoo.
Aazmao na humko yoo.
Response from better half:
Hum yeh nagma padhate hue, muskarate rahe.
Humara naam - naksha dhoondhte rahe.
Aapki yeh paheli ko solve kaise kare...
yeh "woh" kaun hai, yeh hum assume kaise kare?
Comments