Ishq ka bayaan hum kis se karte;
Pyaar ka izhaar hum kis se karte;
Dil bhi poochhe: hum kis pe marte?
...Agar tum na hotey.
Anlikhe khatt, hum kaise padhte?
Tumre bin, 'gar hum aagey badhte,
Raastey bhi toh sooney padhte.
...Agar tum na hotey.
Tanhaayee mein hum aahe bharte.
Khudi se hum haarte shartey.
Saath phere bhi hum akele karte.
...Agar tum na hotey.
Pehchaane raaston se anjaan guzarte.
Mushkilo se hum akele ladte.
Zindagi jeene se jijhakte darte.
...Agar tum na hotey.
Comments