top of page
  • Writer's pictureFarhad Merchant

Block Pain Therapy | Hindi

Updated: Dec 24, 2022

(Hindi poem)

Rakt-e-jigar naam hai tera,

Ye naam zara badnaam hai tera.

Har saans mein jeeta hu main,

Issi khauf mein rehta hu main,

Ke saans kabhi rukh na jaaye,

Aur nazar kabhi jhuk na jaaye.


Kudrat ne oxygen diya,

Par shareer ne dhokha diya.

Covid ka sahara liya,

Aur saara kaam tamaam kiya.


Dawaayo ki kami hai shayad,

Shareer ki nami hai shayad,

Kudrat ka sahara hai shayad,

Mann ka vishwas hai shayad.


Par na jaan ki chinta hai,

Na maut ka koi khauf hai.

Mann mein bus vishwas hai,

Ke Khuda humare paas hai.


Ladenge hum iss vaar se,

Jeetenge hum iss baar se,

Laut aayenge uss paar se,

Hum agle somvaar se!


This is a light-hearted reflection of my engagement with COVID-19 (hospitalization and subsequent quarantine in Jan ‘22).
During this time, since the cryptocurrency (bitcoin) and block chain had dominated the headlines.
Since this was written to distract my mind from the pain, I have named this poem accordingly.
174 views0 comments

Recent Posts

See All

Shayad

bottom of page